jab safar se laut kar aane ki tayyari hui
be-taalluq thi jo shai vo bhi bahut pyari hui
chaar sansen thiin magar siine ko bojhal kar gaiin
do qadam ki ye masafat kis qadar bhari hui
ek manzar hai ki ankhon se sarakta hi nahin
ek saaat hai ki saari umr par taari hui
is tarah chalen badalta huun bisat-e-dahr par
jiit lunga jis tarah ye zindagi haari hui
kin tilismi raston men umr kaati ‘aftab’
jis qadar asan laga utni hi dushvari hui
Leave a Reply