• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho

Jab Main Na Hun To Shahr Mein Mujh Sa Koi To Ho

kishwar-naheed

jab main na huun to shahr men mujh sa koi to ho

divar-e-zindagi men daricha koi to ho

ik pal kisi darakht ke saae men saans le

saare nagar men janne vaala koi to ho

dekhe ajiib rang men tanha har ek zaat

in gahre paniyon men utarta koi to ho

dhundoge jis ko dil se vo mil jaega zarur

aenge log aap tamasha koi to ho

phir koi shakl baam pe aae nazar kahin

phir rahguzr-e-am men rusva koi to ho

koi to arzu-e-farozan sambhal rakh

haan apne sar pe qarz-e-tamanna koi to ho

har-dam ilaj-e-mehr-o-vafa dhundte raho

is tirgi men ghar ka ujala koi to ho

‘nahid’ bandishon men muqayyad hai zindagi

jaaen hazar baar bulava koi to ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Women Poets

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Zindagi karwaTen Badalti Hai

Kuchh Uzr Pas-E-Wada-KHilafi Nahin Rakhte

ahmad-hamesh

Khak-e-Bisat

poet

Ada Se Dekh Lo Jata Rahe Gila Dil Ka

Tera Wajud Teri shaKHsiyat Kahani Kya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet