jab ḳhasare hi ka sarmaya huun main
phir zamin par kis liye aaya huun main
TuuTe kirdaron ka malba joḌ kar
ik naya qissa bana laaya huun men
ḳhvab tak to Thiik tha lekin miyan
jagne ke ba.ad ghabraya huun main
jis ki buniyadon men shab ka husn hai
aisi kaali dhuup ka saaya huun main
apni hi marzi se vapas jaane de
dekh tere hukm par aaya huun main
a peshawar aḳhiri koshish hai ye
ḳhvab se ik faḳhta laaya huun main
Leave a Reply