jab dua.en bhi kuchh asar na karen
kya karen sabr ham agar na karen
dastan ḳhatm ho hi ja.egi
aap qisse ko muḳhtasar na karen
chhoḌta hi nahin hamen sayyad
varna parva-e-bal-o-par na karen
qabil-e-afv main nahin na sahi
na karen aap darguzar na karen
un ko ehsas-e-dard-e-dil kaisa
mar bhi ja.un to aankh tar na karen
us ki bechargi ka kya kahna
jis ki aa.hen bhi kuchh asar na karen
ye bhi tash.hir-e-sha.eri hai ‘josh’
aap divan mushtahar na karen
Leave a Reply