• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jab Bhi Teri Qurbat Ke Kuchh Imkan Nazar Aae

Jab Bhi Teri Qurbat Ke Kuchh Imkan Nazar Aae

jab bhi tiri qurbat ke kuchh imkan nazar aa.e

ham ḳhush hue itne ki pareshan nazar aa.e

dekhun to har ik husn men jhalken tire andaz

sochun to faqat gardish-e-dauran nazar aa.e

TuuTa jo fusun-e-nigah-e-shauq to dekha

sahra the jo nashshe men gulistan nazar aa.e

kanTon ke dilon men bhi vahi zaḳhm the lekin

phulon ne saja.e to numayan nazar aa.e

ik ashk bhi nazr-e-gham-e-janan ko nahin paas

ham aaj bahut be-sar-o-saman nazar aa.e

jo rah-e-tamanna ke har ik moḌ pe chup the

jab daar pe pahunche to ghazal-ḳhvan nazar aa.e

kya janiye kya ho gaya arbab-e-nazar ko

jis shahr ko dekhen vahi viran nazar aa.e

kya ruup nigahon men racha baiThe ki in ko

gulshan nazar aa.e na bayaban nazar aa.e

ik umr se is moḌ pe baiThe hain jahan par

ik pal ka guzarna bhi na asan nazar aa.e

‘sadiq’ ki nigahon ko hi Thahrav na mujrim

a.ine har ik daur men hairan nazar aa.e

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ishrat-afreen

Ek Mushtarka Nazm

Main Naqsh-Ha-E-KHun-E-Wafa chhoD Jaunga

Kuchh Din Guzre Aali-Sahib Aali-Ji Kahlate The

poet

Ab ghaTaen Chahiyen Saqi Na Paimana Mujhe

Humne to Bain Mein Nauhe Mein Adakari Ki

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet