jab bhi kisi ne khud ko sada di
sannaton men aag laga di
mitti us ki paani us ka
jaisi chahi shakl bana di
chhota lagta tha afsana
main ne teri baat badha di
jab bhi socha us ka chehra
apni hi tasvir bana di
tujh ko tujh men dhundh ke ham ne
duniya teri shaan badha di
Leave a Reply