jānte hī nahīñ ḳhushī kyā hai
ġham ke māroñ kī zindagī kyā hai
faisla kar diyā zamāne ne
dostī kyā hai dushmanī kyā hai
mā-sivā ik hasīn ġhaflat ke
baaġh meñ phuul kī hañsī kyā hai
ek ke ġham ko dūsrā samjhe
aur manshā-e-dostī kyā hai
jānte haiñ tumhāre dīvāne
azmat-e-chāk-dāmanī kyā hai
zulf-o-ruḳhsār sāġhar-o-mīnā
jaane ye sher-o-shā.erī kyā hai
inkisār-o-ḳhulūs-o-hamdardī
aur me.arāj-e-zindagī kyā hai
chaudhvīñ shab ke chāñd meñ ‘anvar’
aks un kā hai chāñdnī kyā hai