janta us ko huun dava ki tarah
chahta us ko huun shifa ki tarah
hai dahan ghaeb aur kamar anqa
khud bhi nayab ho huma ki tarah
chaal ne teri fitna-e-mahshar
piis daala mujhe hina ki tarah
khaak chhani bahut pata na mila
vo hai nayab kimiya ki tarah
is qadar na-tavan ‘haqir’ hain ham
hil nahin sakte naqsh-e-pa ki tarah
Leave a Reply