• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaane Kis Waste Dil Chashm-E-Karam Mange Hai

Jaane Kis Waste Dil Chashm-E-Karam Mange Hai

poet

jaane kis vaste dil chashm-e-karam mange hai

zindagi aap se phir dida-e-nam mange hai

ham kahan ja.enge ab teri gali se uTh kar

kis ka dil hai jo yahan dair-o-haram mange hai

mujh ko phulon ki havas hai na to moti ki talash

kasa-e-chashm mira dast-e-karam mange hai

chashm-e-nam ko kisi daman ki tamanna hi sahi

dil-e-betab magar aap ka gham mange hai

jaane kis vaste ik shaḳhs ki bahki hui chaal

har-qadam aap ke hi naqsh-e-qadam mange hai

koi divana tamannaon ko zaḳhmi pa kar

zindagi-bhar ke liye ranj-o-alam mange hai

a.ina-ḳhanon ki yak-rangi se ukta ke ‘ra.is’

azar-e-vaqt bhi patthar ke sanam mange hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Tasawwuraat Hain Tahriren Ishq Ki

khumar-barabankavi

Hijr Ki Shab Hai Aur Ujala Hai

Ilaj-E-zaKHm-E-Dil Hota Hai Gham-KHwari Bhi Hoti Hai

Tum Se Poshida Koi Baat Nahin

ahmad-nadeem-qasmi

Hum Un Ke Naqsh-E-Qadam Hi Ko Jada Karte Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet