jaan ye intizar kaisa hai
hijr men bhi qarar kaisa hai
teri baton ka zakhm hai ab tak
dekh tera shikar kaisa hai
dil ki dhadkan suni to vo bole
ye khanakta sitar kaisa hai
nabz ne lautte hi puchha tha
suune dil ka dayar kaisa hai
mere aansu use tasalli den
mujh ko ye us se pyaar kaisa hai
mujh men himmat nahin lagaun dil
aur dekhun ki pyaar kaisa hai
ruuh ke zakhm jism se hain ayaan
pairahan tar-tar kaisa hai
phuul ke haal se main vaqif huun
tum batao ki khaar kaisa hai
vo rakhega mira bharam baaqi
us pe ye e’tibar kaisa hai
Leave a Reply