jaan qurban kaun karta hai
apna nuqsan kaun karta hai
sab tiri zulf ke hisar men hain
par ye elaan kaun karta hai
teri qurbat kise aziiz nahin
dil ko viran kaun karta hai
log to mushkilon men Dalte hain
mushkil asan kaun karta hai
tum taghaful agar nahin karte
to miri jaan kaun karta hai
but-parasti to ham bhi karte hain
tark iman kaun karta hai
apni apni zaruraten hain ‘qais’
varna ehsan kaun karta hai
Leave a Reply