• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jaan Niklegi Meri Jaan Badi Mushkil Se

Jaan Niklegi Meri Jaan Badi Mushkil Se

riyaz-khairabadi

jaan niklegi miri jaan badi mushkil se

hogi mushkil miri asan badi mushkil se

vo mire ghar rahe mehman badi mushkil se

raat nikle mire arman badi mushkil se

ankhen talvon se malin le ke qadam ankhon par

raah par aae nigahban badi mushkil se

tha bahut un ko gilauri ka uthana mushkil

dast-e-nazuk se diya paan badi mushkil se

badh ke darban ne liya aaj bhi daman mera

kal chhudaya tha gareban badi mushkil se

sohbat-e-bad se bachane ka bataya sab haal

aaj maane mire ehsan badi mushkil se

zulm ko lutf se taabir karenge dam-e-hashr

jaur se honge pasheman badi mushkil se

koi kafir ho jo kal jaae su-e-dair-e-butan

ki bacha aaj hi iman badi mushkil se

na rahe main ne kaleje men jo rakhna chaha

dil men thahre tire paikan badi mushkil se

duur abhi manzil-e-maqsud hai kaale koson

kuchh hue qata bayaban badi mushkil se

maan lete hain vo mushkil se bhi mushkil koi baat

kabhi asan se bhi asan badi mushkil se

mai bahut ruk ke mire halq se utre dam-e-naza

abhi mushkil hui asan badi mushkil se

be-shab-e-vasl ye andaz nikalte hi nahin

zulf hoti hai pareshan badi mushkil se

dhaar talvar ki thi jada-e-barik na tha

hai hua hashr ka maidan badi mushkil se

rahte hain aise hi insan farishte ban kar

aadmi bante hain insan badi mushkil se

dil-e-bismil men kuchh is tarah hue the paivast

tuut kar nikle hain paikan badi mushkil se

yahi andaz yahi vaza jo rakkhoge ‘riyaz’

log samjhenge musalman badi mushkil se

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wasl Kiya Hai Shama Jala Kar

Hai Mustaqil Yahi Ehsas Kuchh Kami Si Hai

poet

Jurat Ai dil Mai O Mina Hai Wo Khud-Kaam Bhi Hai

poet

Ba-Hosh Wahi Hain Diwane Ulfat Mein Jo Aisa Karte Hain

Ashk Palkon Pe Jo Aaen to Chhupae Na Bane

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet