ishq kya hai bebasi hai bebasi ki baat kar
ye bhi koi zindagi hai zindagi ki baat kar
karb se TuuTa nahin main dard se marta nahin
mujh pe taari be-hisi hai be-hisi ki baat kar
vaqt se laḌta hua taqdir se uljha hua
main nahin huun sar-kashi hai sar-kashi ki baat kar
tu ḳhuda jis ko banane par ba-zid hai na-samajh
vo faqat ik aadmi hai aadmi ki baat kar
vaqt kab ka mar chuka hai aaj bhi zinda huun main
tu nahin to kya kami hai is kami ki baat kar
fa.elatun fa.elun se ham bhi vaqif hain magar
ye hamari sha.iri hai sha.iri ki baat kar
Leave a Reply