ishq ka ek ghar hamara hai
baaqi sara-jahan tumhara hai
us se mango jo sab ko deta hai
muflison ka vahi sahara hai
ek kanTa bhi chhu nahin sakte
yuun to saara chaman hamara hai
zindagi se hisab kar lete
ham ko ehsas bas tumhara hai
mere hamrah jab nahin ho tum
mujh ko jiina nahin gavara hai
mujh ko ghera hai jab masa.ib ne
mere dil ne tumhen pukara hai
Leave a Reply