is tarah ziist basar ki koi pursan na hua
yuun main duniya se utha dagh-e-azizan na hua
mustaqil vaza rahi kuchh gham-e-dauran na hua
andhiyon men bhi ghubar apna pareshan na hua
vaza par harf na aai diya vahshat men bhi
lafz-o-maani ki tarah main kabhi uryan na hua
vaar kya kya na sahe tegh havadis ki magar
aise bashshash rahe zakhm bhi giryan na hua
bujh gaya dil ka kanval daagh se jalte jalte
gul kisi shab ye charagh-e-shab-e-hijran na hua
samna aise balaon ka raha duniya men
malak-ul-maut bhi aae to hirasan na hua
ediyan main ne ye ragdin ki gadhe daal diye
gorkan ka bhi main sharminda-e-ehsan na hua
misl-e-nai nala-kashi men miri guzri guzre
dil men nasur to ye hai koi pursan na hua
abru jaati agar be-asar aansu bahte
shukr angusht-numa panja-e-mizhgan na hua
ulfat abru-e-sanam ki hui patthar ki lakir
mahv-e-dil se khat-e-qismat kisi unvan na hua
munharif kyuun rukh-e-mahbub se hai ai vaaiz
tu musalman hua qail-e-quran na hua
dil se na-chiz zamane men koi chiiz nahin
mol kya muft bhi jis ka koi khvahan na hua
ham bhi to dekhte kis tarah nikalte gir kar
chah-e-yusuf ye tira chah-e-zanakhdan na hua
kapde phade se bhi nikle na hararat dil ki
rishta-e-shama koi tar-e-gareban na hua
naala karne ko bhi munh chahiye al-qais-e-hazin
koi zangula-e-jammaza hudi-khvan na hua
sufla-o-dun na kabhi raunaq-e-mahfil honge
jugnu din se kabhi aalam men charaghan na hua
ai junun nikle na ik daagh se hasrat dil ki
daagh mujh ko hai ki taus-e-gulistan na hua
haae shangarf hai likkhe ki lab-e-lalin hai
baat ye puchhte yaqut raqam-khan na hua
koi ladka na dam-e-qaid hua daman-gir
koi patthar mujhe sang-e-rah-e-zindan na hua
ai junun kuchh na mila abla-pai ka maza
gokharo paanv men kyuun khar-e-mughilan na hua
kya faromaya badhega use himmat kya hai
‘bahr’ dariya ka kabhi chaah men tughyan na hua
Leave a Reply