is qadar ḳhud pe ham jafa na karen
jism ko jaan se juda na karen
ashk az chashm-e-man juda nashivad
aap aisi kabhi dua na karen
aao ahd-e-vafa karen donon
aur ahd-e-vafa vafa na karen
phuul ban kar mahakne lagte hain
aap zaḳhmon ko yuun chhua na karen
duur maana zamin hai us se
asman se magar kaha na karen
aur bhi kuchh mazid dahkegi
aag ko yuun hava diya na karen
kaise bhulenge mujh ko un se kaho
zikr itna mira kiya na karen
ham bhi insan hain farishte nahin
ye to mumkin nahin ḳhata na karen
Leave a Reply