hamari chahaton ki buz-dili thi
varna kya hota
agar ye shauq ke mazmun
vafa ke ahd-name
aur dilon ke marsiye
ik dusre ke naam kar dete
ziyada se ziyada
chahaten bad-nam ho jatin
hamari dosti ki dastanen aam ho jatin
to kya hota
ye ham jo ziist ke har ishq men sachchaiyan sochen
ye ham jin ka asasa tishnagi,i tanhaiyan sochen
ye tahriren
hamari arzu-mandi ki tahriren
baham paiavastagi aur khvab paivandagi ki tahriren
firaq o vasl o mahrumi o khursandi ki tahriren
ham in par munfail kyuun huun
ye tahriren
agar ik dusre ke naam ho jaaen
to kya is se hamare fan ke rasiya
sher ke maddah
ham par tohmaten dharte
hamari hamdami par tanz karte
aur ye baten
aur ye afvahen
kisi piili nigarish men
hamesha ke liye marqum hu jatin
hamari hastiyan mazmum ho jatin
nahin aisa na hota
aur agar bil-farz hota bhi
to phir ham kya
subuk-saran-e-shahr-e-harf ki chalon se darte hain
sagan-e-kucha-e-shohrat ke ghaugha
kaale bazaron ke dallalon se darte hain
hamare harf jazbon ki tarah
sachche hain, pakiza hain, zinda hain
bala se ham agar maslub ho jaate
ye sauda kya bura tha
gar hamari qabr ke katbe
tumhare aur hamare naam se mansub ho jate!
Leave a Reply