• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Intiha-E-Ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano

Intiha-E-Ishq Ho Yun Ishq Mein Kaamil Bano

intiha-e-ishq ho yuun ishq men kamil bano

ḳhaak ho kar bhi nishan-e-sarhad-e-manzil bano

mere shikvon par ye kahna rahm ke qabil bano

mudda.a ye hai ki apne haal se ghafil bano

gharq ho kar rol lo moti ḳhud apne vaste

Duub kar ubhro to auron ke liye sahil bano

anjuman kaisi tum apni zaat se ho anjuman

gosha-e-ḳhalvat men bhi baiTho to ik mahfil bano

husn-e-ḳhud-bin mo.ajizat-e-ishq ka qaa.il nahin

qatra-ha-e-ashk-e-ḳhunin jam.a ho kar dil bano

saath azadi ke ḳhud-dari bhi rahna chahiye

bahr-e-be-payan kabhi lab ḳhushki-e-sahil bano

ilm ka daura lahu ke saath rag rag men rahe

jauhar-e-qabil agar ho quvvat-e-amil bano

sharm se tum ko simaTna hai to simTo husn se

dil men ban jaao suvaida putliyon men til bano

rabt-e-batin kya suno tafsil us ijmal ki

ham sarapa dard hon aur tum sarapa dil bano

jalne vaalo ta-ba-imkan zabt soz-e-gham karo

aag jab bhaḌke charagh-e-sarhad-e-manzil bano

kuchh dinon baiTho sar-e-qabr-e-‘aziz’-e-be-nava

ḳhanqahon men bahut dushvar hai kamil bano

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Aankh Se Tare TuT Rahe Hain

noon-meem-rashid

Baadal

Ye Ishq Ki Galiyan Jin Mein Hum Kis Kis Aalam Mein Aae Gae

abul-hasanat-haqqi

Shab Ko Har Rang Mein Sailab Tumhaara dekhen

poet

Wo but Mubtala-Talab Mehr-Talab Wafa-Talab

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet