in havaon ki na lag jaa.e nazar
konplen nikli hain dil ki shaḳh par
ab ke fasl-e-gham nahin laana idhar
aane vaale mausamon se baat kar
meri ik ik saans girvi hai tiri
ab tujhe main kya kahun ai be-ḳhabar
kaanp uThta hai ye pinjra soch kar
jab nikal a.enge mere bal-o-par
chhoḌ deta vo adhura hi safar
dekh leta jo mujhe bas ik nazar
Leave a Reply