• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ilahi Khair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke Baithe Hain

Ilahi Khair Ho Wo Aaj Kyun Kar Tan Ke Baithe Hain

poet

ilahi khair ho vo aaj kyuun kar tan ke baithe hain

kisi ke qatl karne ko bhabhuka ban ke baithe hain

subuk-sar hai vahi jo dusron ke ghar pe jaata hai

jo apne ghar men baithe hain vo lakhon man ke baithe hain

ghazab hai qahr hai shamat hai aafat hai qayamat hai

baghal men vo adu ke aaj kyuun ban-than ke baithe hain

kahen kya muddaa apna sunaen raz-e-dil kyuun kar

hamare samne kuchh aadmi dushman ke baithe hain

maza kunj-e-lahad men kyuun na luun main saghar-e-mul ka

ki bada-khvar paas aa kar mire madfan ke baithe hain

khuda ke vaste un ko nikal kar jalva dikhla do

ki khvahish-mand kuche men tire chitvan ke baithe hain

hain pyase ham to muddat ke pila de jam-e-mai saaqi

vo jab chahen piyen jo muntazir savan ke baithe hain

tabiat ho to aisi ho jo aadat ho to aisi ho

abhi vo tan ke baithe the abhi vo man ke baithe hain

agar raghbat na ho is dahr men muuzi ko muuzi se

to kyuun khar-e-mughilan paanv men rahzan ke baithe hain

nahin maalum kis ko tadte hain kis se vaada hai

ba-vaqt-e-sham paas aa kar jo vo chilman ke baithe hain

nahin parva agar ai ‘mashriqi’ un ko bala jaane

agar vo hain khinche baithe to ham bhi tan ke baithe hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Mauj-E-Bala Mein Roz Koi Dubta Rahe

Bahana DhunDte Rahte Hain Koi Rone Ka

Sar-Ba-Sar Yar Ki Marzi Pe Fida Ho Jaana

poet

Ajnabiyyat Ka Har Ek ruKH Pe Nishan Hai Yaro

Main Apne Kaam Agar Waqt Par Nahin Karta

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet