husn par dastaras ki baat na kar
ye havas hai havas ki baat na kar
puchh agle baras men kya hoga
mujh se pichhle baras ki baat na kar
ye bata haal kya hai lakhon ka
mujh se do chaar das ki baat na kar
ye bata qafile pe kya guzri
mahaz bang-e-jaras ki baat na kar
ishq-e-jan afrin ka haal suna
husn-e-isa nafas ki baat na kar
ye bata ‘arsh’ soz hai kitna
saaz par dastaras ki baat na kar
Leave a Reply