Husn-E-Surat Mein Garche Bud Nahin

husn-e-sūrat meñ garche buud nahīñ

par kahāñ ishq kī numūd nahīñ

nīstī jalva-gar hai hastī meñ

kuchh adam kā mire vajūd nahīñ

ham ne avval se dekhā āḳhir tak

zaat haq kī nabūd-o-būd nahīñ

tere husn-e-malīh ke qurbān

kis ke vird-e-zabāñ durūd nahīñ

mere saaqī ke pesh sāġhar-e-chashm

shīshe ko kab sar-e-sujūd nahīñ

dāġh-e-sozāñ hai jism meñ vo uzv

sañg-e-āfat se jo kabūd nahīñ

baaġh hai daaġh gar na ho laala

bazm vo kyā hai jis meñ uud nahīñ

bas-ki hai kund nāḳhun-e-mizhgāñ

uqda-e-ashk kī kushūd nahīñ

ham jo kahte the tum se roz ‘vaqār’

juz zarar āshiqī meñ suud nahīñ

Leave a Comment