husn-e-be-parva ko khud-bin o khud-ara kar diya
kya kiya main ne ki izhar-e-tamanna kar diya
badh gaiin tum se to mil kar aur bhi betabiyan
ham ye samjhe the ki ab dil ko shakeba kar diya
padh ke tera khat mire dil ki ajab halat hui
iztirab-e-shauq ne ik hashr barpa kar diya
ham rahe yaan tak tiri khidmat men sargarm-e-niyaz
tujh ko akhir ashna-e-naz-e-beja kar diya
ab nahin dil ko kisi surat kisi pahlu qarar
us nigah-e-naz ne kya sehr aisa kar diya
ishq se tere badhe kya kya dilon ke martabe
mehr zarron ko kiya qatron ko dariya kar diya
kyuun na ho teri mohabbat se munavvar jaan o dil
shama jab raushan hui ghar men ujala kar diya
teri mahfil se uthata ghair mujh ko kya majal
dekhta tha main ki tu ne bhi ishara kar diya
sab ghalat kahte the lutf-e-yar ko vajh-e-sukun
dard-e-dil us ne to ‘hasrat’ aur duuna kar diya
Leave a Reply