
Junaid Akhtar
ham ne to bain men nauhe men sadakari ki
aaj dafna di hai mayyat bhi rava-dari ki
ham se bad-tar koi fankar jahan men hoga
ham ada-kariyan karte hain adakari ki
ham ne ghairat ka baghavat ka alapa dipak
taan unchi hai magar aaj bhi darbari ki
ham ko saa.e se bhi shahon ke bacha kar rakhna
ham pe aa jaa.e na tohmat bhi taraf-dari ki
vo na manenge ki ye ain ḳhata hai un ki
vo jo yaari ko bhi kahte hain ki ayyari ki
ham to anjan the is ghar men hamara kya tha
tum to timsal the duniya men samajhdari ki
jin se uThti thiin siyah aag ki lapTen har dam
ham ne aisi bhi zaminon men shajar-kari ki
tum ko sote men bhi kab aankh uTha kar dekha
ham ne ḳhvabon men bhi a.ankhon ki nigah-dari ki

Leave a Reply