ham ne kisi ki yaad men akasr sharab pi
pi kar ghazal kahi to mukarrar sharab pi
yadon ka ik hujum tha tanha nahin tha main
sahil ki chandni men samundar sharab pi
muddat ke ba.ad aaj main office nahin gaya
ḳhud apne saath baiTh ke din bhar sharab pi
is cocktail ka to nasha hi kuchh aur hai
gham ko ḳhushi ke saath mila kar sharab pi
vaise to ham ne pi hi nahin thi kabhi sharab
piine lage to vajd men aa kar sharab pi
ab kaun ja ke sahib-e-mimbar se ye kahe
kyuun ḳhuun pi raha hai sitamgar sharab pi
Leave a Reply