ham to hain asman ke ḳhasare zamin par
bichhḌe hue hain is pe hamare zamin par
surat mili na yaar mila ḳhakiyon ke biich
rahte hain ham ghaTa ke sahare zamin par
vo zulf shaam ḳhvab ye cigarette dhuan sharab
baaqi baḌe ḳharab nazare zamin par
kis se karega peḌ kaTi baanh ka gila
koi nahin hai jis ko pukare zamin par
jal kar bujhe charagh yahi puchhte mare
kya ham hain is zamin ke sitare zamin par
Leave a Reply