ham to ab jaati ruten hain ham se ye ighmaz kyuun
jurm kya ham ne kiya hai aap hain naraz kyuun
mal-o-zar se bahra-e-vafir na dena tha agar
ai ḳhuda tu ne diya mujh ko dil-e-fayyaz kyuun
rishta-e-zar rishta-e-ḳhun se hai baḌh kar mo’tabar
varna chahat ke liye qarza bane miqraz kyuun
ḳhesh-bini jab ki is ka kesh-e-kam-andesh tha
dosti ka paas karta banda-e-aghraz kyuun
kya na.i tahzib hai takzib-e-aqdar-e-salim
shahr men phaile hue hain jins ke amraz kyuun
lutf-andoz-e-riyaz-e-dahr kyuun hote nahin
davara kam-zarf hote hain tire martaz kyuun
kuchh haqa.eq ko agar main ne kiya hai be-naqab
ho ga.e naraz mujh se sher ke nabbaz kyuun
puchhte hain de ke mujh ko dost-dari ka fareb
‘kirshn’-mohan doston se is qadar e’raz kyuun
Leave a Reply