ham tiri khatir-e-nazuk se khatar karte hain
varna naale to ye patthar men asar karte hain
dil o diin tha so liya aur bhi kuchh matlab hai
baar baar aap jo idhar ko nazar karte hain
faeda kya hai agar sharq se ta-gharb phire
rah-rau ve hain jo hasti se safar karte hain
ham to har shakl men yaan aina-khane ki misal
aap hi aate hain nazar sair jidhar karte hain
kya ho gar koi ghadi yaan bhi karam farmao
aap is raah se akhir to guzar karte hain
tere ayyam-e-firaq ai sanam-e-mehr-ghusil
aah mat puchh ki kis tarah basar karte hain
din ko phirte hain tujhe dhundne aur raat tamam
shama ki tarah se ro ro ke sahar karte hain
bas nahin khuub ki aise ko dil apna diije
aage tu jaan miyan ham to khabar karte hain
ye vahi fitna-e-ashob-e-jahan hai ‘bedar’
dekh kar piir o javan jis ko hazar karte hain
Leave a Reply