ham mai-kashon ke qadmon par akasr
jhuk jhuk ga.e hain mehrab-o-mimbar
sharma.ega ab ta-hashr tufan
TuuTi hui ik kashti Dubo kar
ab sham-e-hasrat lau de uThi hai
ai sarsar-e-gham daman bacha kar
ashuftagi ko niind aa chali hai
barham na ho vo zulf-e-mo.ambar
kya ab bhi koi farda hai baaqi
kis soch men ho ai ahl-e-mahshar
kya tanz-e-dauran kya hur-e-ḳhuban
dil hi sitam-kash dil hi sitamgar
chup hain ‘ravish’ ab arbab-e-danish
the tanz kya kya ahl-e-junun par
Leave a Reply