ham ko aghaz-e-safar marta hai
marta koi nahin dar marta hai
zindagi hai miri mushkil men padi
ishq hai ki be-khabar marta hai
tiri mujh se nahin qurbat na sahi
mujh ko to husn-e-nazar marta hai
zindagi us ki hai muhtaj magar
de bhi sakta hai magar marta hai
ik hansi gunji thi ghar men mere
mujh ko yadon ka asar marta hai