ham apne aap ko itna badal nahin sakte
tumhare kahne se chehra badal nahin sakte
badalna chahen agar kya badal nahin sakte
magar jo haal hai dil ka badal nahin sakte
tumhare vaste ya.ani badal chuke hain bahut
ab aur ḳhud ko ziyada badal nahin sakte
ajiib log hain duniya badalna chahte hain
magar vo ḳhud ko zara sa badal nahin sakte
Dare hue hain samundar miri ravani se
magar vo chaah ke rasta badal nahin sakte
hamari zaat ko muddat men ye hua hai nasib
ab apne jiine ka lahja badal nahin sakte
alava dukh ke tiri qismaton men ham bhi hain
nasib tera lihaza badal nahin sakte
vo ek duuje se ankhen badalte rahte hain
jo log roz ka rona badal nahin sakte
badal raha hai ravayya zara zara hi sahi
ab ek din men to saara badal nahin sakte
Leave a Reply