hosh-o-havas-o-aql se begana nahin huun
be-shak junun men gharq huun divana nahin huun
vahshat se miri ḳhauf na kha aa qarib aa
mujh par tira ḳhumar hai mastana nahin huun
mujh men na tum talash karo mai-kashon sukun
main rind-e-bala-nosh huun mai-ḳhana nahin huun
nadan samajh ke mujh pe inayat hai is qadar
achchha hai nigah-e-yar men farzana nahin huun
chup huun ki aap aaj bhi mujh ko aziiz hain
sazish se varna aap ki an-jana nahin huun
‘tashna’ huun mujh se rakh na tavaqqo tu faiz ki
shisha to duur saghar-o-paimana nahin huun
Leave a Reply