ho shauq pur-ḳhulus to maane nahin hudud
dariya ravan-davan hai kinaron ke bavajud
hai didani farasat-e-hazir ki ye numud
ajsam tez-gam hain aur ruuh pur-jumud
kab khul saka hai aql pe ye raz-e-hast-o-bud
fikr-o-nazar ke saath hain ehsas ke quyud
azadiyan vo saḳht hain zindan ki qaid se
jin men nigah-o-fikr pe hon saikḌon quyud
tu jan-e-zindagi hai tu unvan-e-zindagi
teri hi jalva-gah hai kya ghaib kya shuhud
rindan-e-mai-kada bhi hue maslahat-shanas
ab ban gaya hai mai-kada bazm-e-ziyan-o-sud
yaran-e-mai-kada ki siyasat na puchhiye
ḳhatre men paḌ gaya hai ḳhud insan ka vajud
Leave a Reply