hayat raas na aa.e ajal bahana kare
tire baghair bhi jiina paḌe ḳhuda na kare
main roz marta huun is intizar ke sadqe
bura na maan agar zindagi vafa na kare
ham ek ho ga.e do din men kis tarah allah
yahi dua hai koi tisra juda na kare
manaya jashn-e-shab-e-gham ki ek din to kaTa
jo tujh se chhuT ke jiita rahe vo kya na kare
main apni raushni-e-tab.a se larazta huun
mira junun mujhe manzil se ashna na kare
main kya bata.un ki qurbat ka fasla kya hai
ki jaise ghar to bana.e koi raha na kare
Leave a Reply