hayat kya hai ma.al-e-hayat kya hoga
tu is pe ghaur karega to gham-zada hoga
sambhal sambhal ke jo yuun pattharon pe chalta hai
zarur us ki hifazat men aa.ina hoga
jo kah raha ki niind uḌ ga.i hai ankhon se
ye shaḳhs pahle bahut ḳhvab dekhta hoga
suna kiya jo mira haal is tavajjoh se
vo ajnabi bhi kisi gham men mubtala hoga
kisi ke rabt-o-ta.ashshuq pe itna naaz na kar
hina ka rang hai do roz men hava hoga
javan hota to pagal hava se laḌta bhi
daraḳht tha vo purana ukhaḌ gaya hoga
ye ḳhisht ḳhisht bikharta hua khanDar ‘sabir’
kabhi na jaane ye kis ka mahal-sara hoga
Leave a Reply