hava ke zor se pindar-e-bam-o-dar bhi gaya
charagh ko jo bachate the un ka ghar bhi gaya
pukarte rahe mahfuz kashtiyon vaale
main dubta hua dariya ke paar utar bhi gaya
ab ehtiyat ki divar kya uthate ho
jo chor dil men chhupa tha vo kaam kar bhi gaya
main chup raha ki isi men thi afiyat jaan ki
koi to meri tarah tha jo daar par bhi gaya
sulagte sochte viran mausamon ki tarah
kada tha ahd-e-javani magar guzar bhi gaya
jise bhula na saka us ko yaad kya rakhta
jo naam lab pe raha zehn se utar bhi gaya
phati phati hui ankhon se yuun na dekh mujhe
tujhe talash hai jis shakhs ki vo mar bhi gaya
magar falak ko adavat usi ke ghar se thi
jahan ‘faraz’ na tha sail-e-gham udhar bhi gaya
Leave a Reply