hava-e-hirs-o-havas se mafar bhi karna hai
isi daraḳht ke saa.e men ghar bhi karna hai
ana hi dost ana hi harif hai meri
isi se jang isi ko sipar bhi karna hai
chal aa tujhe kisi mahfuz ghar men pahuncha duun
phir is ke baad mujhe to safar bhi karna hai
yahi nahin ki pahunchna hai asmanon par
dua-e-vasl tujhe ab asar bhi karna hai
hamen to sham.a ke donon sire jalane hain
ghazal bhi kahni hai shab ko basar bhi karna hai
Leave a Reply