harim-e-naz hai aur ek rind-e-mai-ḳhana
dar-e-qubul hai aur laghzishon ka nazrana
ye faiz tere karam ka hai pir-e-mai-ḳhana
ki har maqam se guzra huun be-niyazana
ḳhirad pe naaz yaqin-o-amal se begana
naqib-e-vahm-o-guman rahbaran-e-farzana
zaban-e-shauq pe aa.ega dil ka afsana
kahenge un se hikayat-e-gesu-o-shana
mizha pe aa.e na betab dil ka afsana
chhalak na jaa.e kahin chashm-e-tar ka paimana
para.e gham se rahun kis tarah main begana
na mohtasib huun na mulla na pir-e-mai-ḳhana
haden haram ki bana len janab-e-shaiḳh magar
bana.i ja.engi kaise hudud-e-mai-ḳhana
tumhari bazm se apni vafa ki manzil tak
mila na raah men apna na koi begana
hamara naam liya ja raha hai jaam ke saath
badal gaya hai yaqinan nizam-e-mai-ḳhana
nigar-ḳhana-e-dil aur tavahhumat ka aks
bana liya hai haqiqat ko ham ne afsana
Leave a Reply