• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Harif-e-dastan Karna Pada Hai

Harif-e-dastan Karna Pada Hai

akhtar-hoshiyarpuri

harif-e-dastan karna paḌa hai

zamin ko asman karna paḌa hai

nikal kar aa gae hain jangalon men

makan ko la-makan karna paḌa hai

sava neze pe suraj aa gaya tha

lahu ko saeban karna paḌa hai

bahut tarik thiin hasti ki rahen

badan ko kahkashan karna paḌa hai

kise ma.alum lams un ungliyon ka

hava ko raz-dan karna paḌa hai

vo shayad koi sachchi baat kah de

use phir bad-guman karna paḌa hai

main apne saare patte faash karta

magar aisa kahan karna paḌa hai

safar asan nahin haraf o qalam ka

hamen tai haft-ḳhvan karna paḌa hai

tha jis se iḳhtilaf-e-rae mumkin

usi ko mehrban karna paḌa hai

saf-e-a.ada men apne bazuon ko

mujhe ‘aḳhtar’ kaman karna paḌa hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ek peD Sar-E-Dasht-E-Tamanna Nazar Aaya

Apne Mar-miTne Ke Asbab Bahut Dekhta Hun

poet

Ho Ruh Ke Tain Jism Se Kis Tarah Mohabbat

Alam Maal Agar Hai to Phir KHushi Kya Hai

Ek Rishta Dard Ka Hai Mere Uske Darmiyan

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet