harf-e-be-avaz se dahka hua
ik diya huun taaq men jalta hua
is taraf divar ke bhi main hi tha
us taraf bhi main hi tha baiTha hua
anganon men phuul the mahke hue
khiḌkiyon men chand tha Thahra hua
kore kaghaz par ajab tahrir thi
paḌhte paḌhte main jise andha hua
kya kahun dast-e-hava ke shobade
ret par ik naam tha likkha hua
mere ḳhuun ki gardishen bhi baḌh gaiin
us qaba ka rang bhi gahra hua
ungliyon men us badan ka loch hai
rang-o-ḳhushbu ka safar taaza hua
raat bhar jis ki sada aati rahi
sochta huun vo parinda kya hua
jagti ankhon men ‘aḳhtar’ aks kya
main ne dekha qafila jaata hua
Leave a Reply