haram kya dair kya donon ye viran hote jaate hain
tumhare mo’taqid gabru musalman hote jaate hain
alag sab se nazar nichi khiram ahista ahista
vo mujh ko dafn kar ke ab pasheman hote jaate hain
siva tifli se bhi hain bholi baten ab javani men
qayamat hai ki din par din vo nadan hote jaate hain
kahan se launga khun-e-jigar un ke khilane ko
hazaron tarah ke gham dil ke mehman hote jaate hain
kharabi khana-ha-e-aish ki hai daur-e-gardun men
jo baaqi rah gae hain vo bhi viran hote jaate hain
bayan main kya karun dil khol kar shauq-e-shahadat ko
abhi se aap to shamshir-e-uryan hote jaate hain
ghazab ki yaad men ayyariyan vallah tum ko bhi
gharaz qaael tumhare ham to ai jaan hote jaate hain
udhar ham se bhi baten aap karte hain lagavat ki
udhar ghairon se bhi kuchh ahd-o-paiman hote jaate hain
Leave a Reply