har ik yaqin ko ham ne guman bana diya hai
the jis zamin pe use asman bana diya hai
ham aise ḳhana-ḳharabon se aur kya banta
kisi se silsila-e-rabt-e-jan bana diya hai
hamare sher hamare ḳhayal kuchh yuun hain
ḳhala men jaise kisi ne makan bana diya hai
mohabbaton ke aminon ki hain vo avazen
ki jin ko ḳhalq ne shor-e-sagan bana diya hai
zamin to puuri tarah ham bhi dekh sakte hain
falak ko is ne magar be-karan bana diya hai
Leave a Reply