har ik shajar pe parinde simaT ke baiThe haiñ
havā-e-sard ke jhoñke bahut nukīle haiñ
kahāñ sambhaltā hai jaldī kisī kī maut se dil
haañ Thīk-Thāk haiñ pahle se thoḌe achchhe haiñ
dhuāñ dhuāñ sī hai fihrist-e-raftagāñ lekin
do ek chehre haiñ vaise hī jagmagāte haiñ
tujhe ḳhabar bhī hai ai dost tere marham se
kuchh ek zaḳhm jo andar na.e se bante haiñ
qadam qadam pe na.e moḌ muḌne vaale log
na jaane kyoñ mujhe ab Thiik jaan paḌte haiñ
judā hue to bahut din guzar ga.e lekin
havā-e-tāza ke jhoñkoñ se ab bhī Darte haiñ
kabhī to ḳhuub sisakte haiñ be-tarah aur phir
ḳhayāl-e-marg se yak-dam chahakne lagte haiñ