har but yahan TuuTe hue patthar ki tarah hai
ye shahar to ujḌe hue mandar ki tarah hai
main tishna-e-didar ki jhonka huun hava ka
vo jhiil men utre hue manzar ki tarah hai
kam-zarf zamane ki hiqarat ka gila kya
main ḳhush huun mira pyaar samundar ki tarah hai
is charḳh ki taqdis kabhi raat ko dekho
ye qabr pe phaili hui chadar ki tarah hai
main sang-e-tah-e-ab ki surat huun jahan men
aur vaqt bhi soe hue sagar ki tarah hai
rote hain bagule mire daman se lipaT kar
sahra bhi tabi.at men mire ghar ki tarah hai
ash.ar mire dard ki ḳhairat hain ‘aḳhtar’
ik shaḳhs ye kahta tha ki gham zar ki tarah hai
Leave a Reply