• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai

Hansi Labon Pe Sajae Udas Rahta Hai

hansi labon pe saja.e udaas rahta hai

ye kaun hai jo mire ghar ke paas rahta hai

ye aur baat ki milta nahin koi us se

magar vo shaḳhs sarapa sipas rahta hai

jahan pe Duub gaya meri aas ka suraj

usi jagah vo sitara-shanas rahta hai

guzar raha huun main sauda-garon ki basti se

badan pe dekhiye kab tak libas rahta hai

likhi hai kis ne ye tahrir reg-e-sahil par

bahut dinon se samundar udaas rahta hai

main vahshaton ke safar men bhi huun kahan tanha

yahi guman hai koi as-pas rahta hai

main guftugu ke har andaz ko samajhta huun

ki meri zaat men lahja-shanas rahta hai

vo faslon men bhi rakhta hai rang qurbat ke

nazar se duur sahi dil ke paas rahta hai

jab un se guftugu karta hai koi bhi ‘ejaz’

ik iltimas pas-e-iltimas rahta hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Pesh-E-Zamin Rahun Ki Pas-E-Asman Rahun

Mukaddar Hi Tha Kuchh Aisa Hamara

ismail-merathi

Gar Nek dili Se Kuchh Bhalai Ki Hai

poet

Jamal-Gah-E-Taghazzul Ki Tab-O-Tab Teri Yaad

Partaw-E-Saghar-E-Sahba Kya Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet