hamen yunhi na sar-e-ab-o-gil banaya jaa.e
hamare ḳhvab diye jaa.en dil banaya jaa.e
dikha.i deta hai tasvir-e-jan men donon taraf
hamara zaḳhm zara mundamil banaya jaa.e
agar jalaya gaya hai kahin diye se diya
to kya ajab ki kabhi dil se dil banaya jaa.e
shadid-tar hai tasalsul men hijr ka mausam
kabhi milo ki use mo’tadil banaya jaa.e
ye naqsh ban nahin sakta to kya zaruri hai
ḳharab-o-ḳhasta o ḳhvar-o-ḳhajil banaya jaa.e
Leave a Reply