hamen bhi matlab-o-maani ki justuju hai bahut
harif-e-harf magar ab ke du-ba-du hai bahut
vaqar ghar ki tavazo hi par nahin mauquf
ba-faiz-e-shairi bahar bhi aabru hai bahut
phate purane dilon ki khabar nahin leta
agarche janta hai hajat-e-rafu hai bahut
badan ka saara lahu khinch ke aa gaya rukh par
vo ek bosa hamen de ke surkh-ru hai bahut
idhar udhar yuun hi munh marte bhi hain lekin
ye mante bhi hain dil se ki ham ko tu hai bahut
ab us ki diid mohabbat nahin zarurat hai
ki us se mil ke bichhadne ki aarzu hai bahut
yahi hai be-sar-o-pa baat kahne ka mauqaa
pata chalega kise shor char-su hai bahut
ye haal hai to badan ko bachaiye kab tak
sada men dhuup bahut hai lahu men lu hai bahut
yahi hai fikr kahin maan hi na jaaen ‘zafar’
hamare mojaza-e-fan pe guftugu hai bahut
Leave a Reply