hamari ham-nafasi ko bhi kya davam hua
vo abr-e-surkh to main nakhl-e-intiqam hua
yahin se mere adu ka khamir uttha tha
zamin dekh ke main tegh-e-be-niyam hua
khabar nahin hai mire badshah ko shayad
hazar martaba azad ye ghulam hua
ajab safar tha ajab-tar musafirat meri
zamin shuru hui aur main tamam hua
vo kahili hai ki dil ki taraf se ghafil hain
khud apne ghar ka bhi ham se na intizam hua
hui hai khatm dar-o-bam ki kam-asbabi
mayassar aaj vo saman-e-inhidam hua
Leave a Reply