agar hamare dukhon ka ilaaj
niind hai
to koi ham se ziyada gahri niind nahin so sakta
aur na hi itni asani aur khub-surati se
koi niind men chal sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaaj
jagna hai
to ham is qadar jaag sakte hain
ki har raat hamari ankhon men aram kar sakti hai
aur har darvaza
hamare dil men khul sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaaj
hansna hai
to ham itna hans sakte hain
ki parinde, darakhton se ud jaaen
aur pahad hamari hansi ki guunj se bhar jaaen
ham itna hans sakte hain
ki koi maskhara ya pagal
is ka tasavvur tak nahin kar sakta
agar hamare dukhon ka ilaaj
rona hai
to hamare paas itne aansu hain
ki in men saari duniya ko duboya ja sakta hai
jahannam bujhae ja sakte hain
aur saari zamin ko paani diya ja sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaaj
jiina hai
to ham se ziyada ba-maani zindagi
kaun guzar sakta hai
aur kaun aise saliqe aur aziyyat se
is duniya ko dekh sakta hai
agar hamare dukhon ka ilaaj
bolna hai
to ham hava ki tarah guftugu kar sakte hain
aur apne lafzon ki khushbu se
phuul khila sakte hain
aur agar tum kahte ho:
hamare dukhon ka ilaaj kahin nahin hai
to ham chup rah sakte hain
qabron se bhi ziyada
Leave a Reply