hairan hai jabin aaj kidhar sajda rava hai
sar par hain khudavand sar-e-arsh khuda hai
kab tak ise sinchoge tamanna-e-samar men
ye sabr ka pauda to na phula na phala hai
milta hai khiraj us ko tiri nan-e-javin se
har badshah-e-vaqt tire dar ka gada hai
har ek uqubat se hai talkhi men sava-tar
vo rang jo na-karda gunahon ki saza hai
ehsan liye kitne masiha-nafason ke
kya kijiye dil ka na jala hai na bujha hai
Leave a Reply